Friday, November 12, 2010

Adhoore Lyrics

Well here comes another Song from my favourite lyricist Prasoon Joshi...


ek aawara nadi chalke woh khul ke sansanaati sanan sanan
aur woh hai jheel sa khaamoshiyon ki ek tarang liye tarang
rishta yeh kaisa jalti ret paaon ka
rishta yeh kaisa chand din dhoop chaaon ka
wooo adhoore tum, adhoore hum bin tumhare


mutthiyon mein baadalon ko le ke woh nichod de
woh raat ki chuppi mein shor natkhat chod de
bebaak hai, bindaas hai
use zindagi ki pyaas hai
paas hai, par dooriyaan


makhmali majbooriyaan hain
adhoore tum, adhoore hum bin tumhaare


Mann ke kamro mein, woh khole khushbuon ki sheeshiyan
Saahilon pe dhoondta hai, ishq wali seepiyan
Pyaar hai romance hai, bas yehi saransh hai
Do dilon ke darmiyan, khwahishon ki kashtiyan hai
O adhoore Tum adhoore hum bin tumhare
O adhoore Tum adhoore hum bin tumhare


ek aawara nadi chalke woh khul ke sansanaati sanan sanan
aur woh hai jheel sa khaamoshiyon ki ek tarang liye tarang
rishta yeh kaisa jalti ret paaon ka
rishta yeh kaisa chand din dhoop chaaon ka
wooo adhoore tum, adhoore hum bin tumhare

No comments:

Post a Comment